Sunday, May 19, 2013

Interview with Nitin Mishra by Nishant Parashar

Interview with Raj Comics writer, artist Mr. Nitin Mishra by Nishant Parashar, published in Indian Comics Fandom (Volume 6).




Aapki Life mai Comics ne dustak kis tarah di. Aapki zindgi mai comics se judi kuchh aisi baatein jo aap hamko batana chahein.. Jaise Aapka bachpan, kis tarah yaad karte hain aap un dino ko ?

Ji mere jeevan me comics tabse hai jabse maine hosh sambhaala, mere papa bhi comics ke bahut bade fan rahe hain, us samay vo indrajaal comics laya karte the. Betaal, Mandrek, Flash Gordon aadi sabse mera parichay tab hua jab main padhna bhi nahin jaanta tha bas unke manmohak chehre meri aakhon se hote hue mere dil me hamesha ke liye bas gaye.

Unhi manmohak chehro ki wajah se aaj kai chehro par muskan hai. Aapne jo pehli comics padhi ya bachpan ki aisi comics jo abhi tak aapke dil mai ho, uske baare mai kuchh ? kyuki har kisi comics fan ki zindgi mai kam se kam ek comics to aisi hoti hi hai jo sadaa ke liye dil main bas jati hai.

Meri pehli comics (joki main chhota hone ke kaaran padh nahin pata tha, sirf artwork dekhta tha aur papa uske dialogue padh kar sunaate the) indrajaal me published betaal ki ek comics thi ‘Tempany ka nagaadavaadak’  jisme Phantom pahli baar ek nagaadevaadak ke nagaade ki dhunon ke aage bebas ho jaata hai aur mantrmughd hokar naachta hai, par apni haar se na darte hue vo dobara vaapas laut.ta hai aur us nagaadevaadak ko maat deta hai. Yah kahaani mujhe jeevan me har mod par prerit karti aayi hai hamesha naakamiyon ka saamna himmat se kar unhe paraast karne ki seekh deti aayi hai. aaj bhi mere paas vo rare indrajaal comics surakshit hai, jab bhi kisi pareshaani se hataash hota hoon, use zaroor padhta hoon...himmat milti hai.

Ye comics har peedhi ke readers ko bhi prerit karti hai, wo samay comics ka swarnim yug tha. har comics apne aap mai kuchh na kuchh samete hue thi. Khair us samay aap kis sahar mai the, jis sahar mai aapka bachpan beeta, aur aapne apni padhai kis tarah puri ki.

Ji us samay main apne hometown Varanasi me tha, meri schooling Varanasi ke hi reputed convent school W.H. Smith memorial me hui. English aur hindi dono hi literature me bachpan se dilchaspi thi. Plays me bhi bachpan se hi participate karta tha. School ke baad maine fine arts (illustration n vizualization) me graduation and post graduation benaras hindu university se kiya.

BHU se MFA puri karne ke baad aapko pehli JOB ki talash kaha jake samapt hui ?

Maine BFA final year ke baad MFA ka entrance diya tha aur result aane ka wait kar rha tha, us dauraan maine apni final year project ke kuch works orkut par upload kiye the jinhe mere online friend ‘Rahul Shashank’ ne dekha aur mujhe RC me try karne ko kha, bas ji fir kya main to bachpan se hi RC join karne ke sapne dekh raha tha aur mujhe zindgi me pahla mauka mila bhi to apne us sapne ko saakaar karne ka...bhala mujhe aur kya chaahiye tha.

Bachpan se comics ki jindgi jeene wale fan ko agar comics company mai kaam karne ka mauka mil jata hai to us anubhooti ko koi bhi shabdo mai bayaan nahi kar sakta.
Wo kaun sa saal/mahina tha jab aap pehli baar Raj Comics se jude, aur kya kya hua us pehle din, jab aap Sanjay ji se mile.

May 2007 me main pahli baar RC studio pahuncha, isse pahle aksar socha karta tha ki kaisa lagta hoga saare diggaj creatives jahaan ek hi chhat ke neeche kaam karte honge. Subah ki gaadi se 8 baje delhi pahuncha aur 9:30 par RC studio me haazir ho gya. Chaaron or apne favourite superheroes ke posters dekh kar mann balliyon uchhlne lga tha....jis samay main pahuncha tha us waqt studio me sirf ek hi Shakhseeyat maujood thi 'The Baap' of all Superheroes.... 'The Sanjay Gupta' sach kahoon to ye sirf Sanjay sir ki Azeem shakhsiyat unki personality aur unke saagar jitne bade dil ka hi jaadu hai ki main aaj is industry se juda hua hoon.

Khair, Sanjay Sir ne dekhte hi bola, 'aa gaya bete...thoda thanda-vanda pee thoda fruit-shruit kha fir baat karte hain'

Mujhe mere pahle Super hero character Yoddha ke liye new look design karne ko kaha gya main aek separate bane cabin me baith kar 2-3 ghante tak look finaL karta raha. Jab apni ore se best look final kar ke main Snajay Sir ke cabin me pahuncha to dekhta hoon unke saamne waali chair pe 'The master of Fantasy' Anupam Sinha Sir baithe hain.....kasam se school me exams dete waqt kabhi utna nervous nahin hua tha jitna us waqt tha. Anupam Sir aur Sanjay Sir ne mere design kiye characters ki kamiyaan mujhe samjhaayin jo ki is field me mera pahla guru mantra tha....main pichhle designs ko dustbin me daal kar fir se yoddha ka new look design karne me jut gya.

he he Kafi rochak ghatnayein samne aa rahi hain. Khairr aapne RC ke liye jo first comics draw ki uske bare mai kuchh ankahe pehlu..

Maine RC ke liye sabse pahli comics Yoddha series ki Aarambh draw ki thi, us samay main BHU se apna MFA complete kar rha tha. Maine artwork shuru hi kiya tha ki mere father ki tabiyat achaanak kaafi critical ho gayi, deadlines paas thi, final terms ke exams the aur papa bhi hospital me the...kaafi mushkil din the wo.
Maine in sabke beech hi Aarambh ka artwork complete kiya, issue publish hua aur artwork ki koti-koti bhartsna hui, mujhe yaad hai RC forum par kuch fans ne to artist ko Ban karne ki bhi maang ki thi.
Kalakaar chahe vo Actor ho, Singer ho, Musician ho, Painter ho ya koi Sportsman hi kyon na ho...vo kin paristhitiyon me perform kar rha hai yah duniya ke liye koi maayne nahin rakhta, maayne rakhta hai to sirf uska performance.........
Apne pahle hi kaam me asafal hokar manobal kahin na kahin zaroor toota tha par jo nahi toota tha vo tha mere parivaar aur Sanjay Sir ka mujh par vishwaas.

Is tarah ki bhartsna ka karan kya tha ye to mujhe nahi pata, na us bare mai kuchh keh sakta hu. lekin itna jarur keh sakta hu ki pitaji ka swasthya sahi na hone ke bawjood aapne apna kaam samay par pura kiya ye baat khud sarahniy hai.

Ji

Jaisa ki abhi tak pata hai aapne RC mai apni shuruaat ek artist ke taur par ki, fir achanak se ek artist ka writer ban jana, ye kis tarah sambhav hua ?

Kahaniyaan likhne aur unpar artwork karke comics bnaane ka shauk bhi bachpan se hi tha. ek din Sanjay Sir ne mera aisa hi ek artwork dekhkar poochha 'iski kahani kisne likhi hai' ? Maine kaha 'maine likhi hai' unhone fauran kaha 'kuch hamaare liye bhi likho' bas ji maine fatafat 3 kahaaniyaan suna di, is tarah shuru hui meri pahli teen scripts 'Gadadhaari Baankelal', 'Sone ki leedh' aur 'Doodh ghaas'.

Doodh Ghaas ne to mujhe bahut hasaya tha, maine aur bhi bankelal ki kahaniya padhi thi Bedi ji ke jane ke baad, unmai sabse jyada yahi pasand aayi thi mujhe.

hehehe dhanywaad Ji...

Bankelal ke baad aapne RC ke liye sabse pehle kis superhero ke liye story likhi ?

Baankelal ke baad maine sabse pahli script NNN  ke liye likhi thi, 'Infected' aur 'Mrityujeevi'
iske alaava doga ki pahli online comics 8:36 likhi.

Yani ye kafi pehle hi likhi ja chuki thi, iske likhne aur publish hone ke beech aapki likhi aur bhi comics dekhne mili thi, jaise doga ki ‘MatrBhoomi’ aur ‘Ham Honge Kamyab’ aur bhi jinka mai naam bhool raha hu.

Ji, Infected aur Mrityujeevi sabse pahle likhi gayi thi. 8:36, Mtrabhoomi, HHK,  I-spy, CC2C  ye sab baad me likhi gayi thi.

Ji aur RajComics ke liye aapke aagami project kya-kya hain sir ?

Mera abtak ka sabse bada project...mera dream project jahan main poore RC universe ko aek saath la sakoon...Sarvanayak........

ji bilkul. sarvnayak kafi charcha mai hai shuru se hi, fans aapse bahut ummeed lagaye hain is project se. sarvnayak ka vichar aapke man mai kaise aaya, kyuki indian comics industry ka apni tarah ka ye pehla project hai, aur kya kya khaas baat hai ismai.

Main hamesha se hi multi-starrers ka bahut bada fan raha hoon. Kohraam khareedne ke liye main release date ke 1 hafta pahle se hi din raat book stall par hi samay bitaya karta tha ki set aate hi sabse pahli copy mujhe mile....
Main kaafi time se plan kar rha tha ki ek aisa multi-starrer likha jaaye joki in true sense entire RC universe ko ek universe ke roop me define kare.
Sarvanayak me koshish yahi hai ki puraatan kaal ke sanrakshakon aur new generation ke super heroes ke beech vo invisible link saamne aaye jo unhe aek-doosre se jodta hai...

ji, promos dekhne ke baad lagta hai 'Past vs PresenT' hone wala hai, aur shayad 'vs Future' bhi ho sakta hai, kisi bhi sambhavna se inkaar nahi kiya ja sakta.
Khair sarvnayak se aapka koi favorite dialogue, jo aap batana chahein.

Aap shayad padh chuke honge....Sanjay Sir ne post kiya tha, “Yeh samajh lo Mr Dhruv ki sampoorn samaychakr yugam ka personal computer hai, jis se yugam jab chahe tab kisi bhi samay kaal ki file par permanent shift delete ka button daba sakta hai” !!'

JI haan ye sanjay sir post kar chuke hai. Achha ye batayiye sir ki aapke indian comics se favorite superhero/characters kon kon hain, aur favorite kyu hai ?

Mere sabse pasandeeda superhero Bhokaal, Nagraj(aatankharta) aur Doga hain.....teeno hi bahut intense characters hain... Bhokal har lihaaz se aek aadarsh character hai, Nagraj ultimate superhero (in my opinion best super hero ever created) and doga is ‘Doga’ ...Doga ki taareef me shabd kam padenge. aaj hamari society ko vaakai ek Doga aur ek Aatankharta Nagraj ki hi zaroorat hai.

Superheroes to ho gaye, ab kuchh creatives ke bare mai bhi batayiye, jinka naam aap sirf comics mai padhte aaye the unke saath kaam karte hue kaisa laga aapko, ye to pakka hai ki achha hi laga hoga, par kuchh khas pal jo aapke jehan mai samayein ho unke saath kaam karne ke dauran 

Sabhi creatives jitne shaandaar apne kaam me hain utne hi zabardast actual me bhi hain. Sanjay Sir se mulakaat se bhi pahle main Dilip chaubey Sir se mil chuka tha jab vo BHU aaye the uske baad Delhi me bhi unse mulakaat hui bahut hi inspiring aur zinda dil insaan hain....unka positive attitude aur hamesha pahle se behtar karne ki instinct kaabil-e-taareef hai. Sanjay Sir creatives me hamesha mere aadarsh rahe hain aur hamesha rahenge.....main jo kuch bhi hoon bas unhi ki seekh ke kaaran hoon, aaj bhi unse seekh rha hoon. Aisa koi sawaal nahin jiska Sanjay Sir ke paas jawaab nahin. Sanjay Sir ke saath Sundays ko poore din bhar ke brain storming sessions hote the...sirf main aur Sanjay Sir. Nagraj ki world War series, 10 deadliest, Don ye sab unhi brain storming sessions ka nateeja hain...

he he ummeed karte hai nikat bhavisya mai aise brain storming sessions aur bhi hote rahenge, taki aur bhi achhi achhi series milti rahein. ek baat aur mujhe lagta hai ki fans ko pata chalna chahiye, wo ye ki last year aayi comics 'samudri lutere' ka 2nd part, Belmunda ka Khazana ka jaldi na aane ka jo nanha munha kaaran hai, uske baare mai kuchh bata dijiye.

hahaha......nanha munna bahut hi zyada sharaarti hai.....1 minute bhi shaant nahi rahta, na hi kisi ko rehne deta hai....Stuti ji poori koshish me hain ki chaaron Toads, Naagraaj, Dhruv aur nanhe-munne sabhi ko equal time de saken.........

He he kaafi kuhh bataya aapne comics aur apne bare main, ye bhi batayiye sir ki raj comics mai aisi kon si cheej hai jise aap change karna chahte ho, par kar nahi pa rahe. kya hai koi aise cheej.

Raj comics apne aap me paripoorn hai-sampoorn hai, samay ke saath chalti hai....main ise sdaa aise hi dekhna chaahoonga.......


Chaturta se bhara hua jawab,, he he,,
aakhir mai ham fans se kya kehna chahenge sir. Koi sandesh, koi salaah.. Koi maargdarshan.

Fans se yahi kahna chaahoonga ki jaise hamesha aap logon ne RC par apna pyaar aur vishwaas banaye rakha hai vaise hi aage bhi banaye rakhiyega, aab sabhi RC ki shakti hain...hamesha comics padhte rahiye aur piracy se door rahiye....

apne amoolya samay mai se kuchh samay dene ke liye aapka koti koti dhanywaad sir.

Indian Comics Fandom (Vol. 6) Out Now!!

Namastey! Presenting Indian Comics Fandom (Volume 6). I would like to thank all the readers and Indian Comic Fans for their continuous support from the first issue of ICF last year. 



This issue covers - 

1. News articles, updates on independent comic scene.
2. Articles, Updates from Manta Ray Comics, Vimanika Comics,
3. Holy Cow Entertainment, Amar Chitra Katha, Yali Dream Creations, Raj Comics, Tricolor Books, Fenil Comics, Comix.India, Yomics, Himalayan Comics.
4. Fan Fic : Sukda Abs (Gamraj) by Karan Virk.
5. EXCLUSIVE!!! Interview with Mr. Nitin Mishra by Nishant Parashar.
6. Memories Section with old comic issues, excerpts from magazines.
Cover Pic – Mr. Mayank Sharma and Legendary artist Late Jitendra Bedi ji (Raj Comics Janoon Mela, June 2008)

Available Following Websites -

*) – Readwhere : http://www.readwhere.com/publication/4108/indian-comics-fandom-vol-6
*) – ISSUU : http://issuu.com/mohit-trendy-baba/docs/indian_comics_fandom__vol._6_
*) – Minus : http://trendybaba.minus.com/lJXWm2OY7OvEo
*) – Mediafire : http://www.mediafire.com/view/?2bg66cdd2xa0vi2

*) - Scribd : http://www.scribd.com/doc/143580175/Indian-Comics-Fandom-Vol-6 
*) – 4Shared : http://www.4shared.com/office/RZmcibtC/Indian_Comics_Fandom__Vol_6_.html
*) – PDF Archive : http://www.pdf-archive.com/2013/05/18/indian-comics-fandom-vol-6/

Also available on Smashwords, Pothi and allied networks.

- Mohit Sharma (Trendy Baba / Trendster)